kabhi lehje mein kuchh talkhi nahin thi | कभी लहजे में कुछ तल्ख़ी नहीं थी

  - Anant Shahrag

kabhi lehje mein kuchh talkhi nahin thi
bas ik mujhmein yahi khoobi nahin thi

bichhadne ki azadaari nahin thi
mujhe is par bhi hairaani nahin thi

meri kashti bhanwar se ishq karti
kisi saahil ki vo qaidi nahin thi

ye duniya bazm thi bas vahshiyon ki
muhabbat jismein ab baqi nahin thi

kami kya thi bataaun chaai mein main
bas us din chaai vo joothi nahin thi

mujhe ghaayal kiya tha nazon ne hi
koi bhi husn-e-zebaai nahin thi

mahak taari thi mujhpe unki aise
mitaane pe bhi jo mitati nahin thi

mujhe insaan se patthar banaya
tumhaari kya koi ghalti nahin thi

muhabbat tha dilon ka rishta sheharg
ye bilkul bhi adaakaari nahin thi

कभी लहजे में कुछ तल्ख़ी नहीं थी
बस इक मुझमें यही ख़ूबी नहीं थी

बिछड़ने की अज़ादारी नहीं थी
मुझे इस पर भी हैरानी नहीं थी

मिरी कश्ती भँवर से इश्क़ करती
किसी साहिल की वो क़ैदी नहीं थी

ये दुनिया बज़्म थी बस वहशियों की
मुहब्बत जिसमें अब बाक़ी नहीं थी

कमी क्या थी बताऊँ चाय में मैं
बस उस दिन चाय वो जूठी नहीं थी

मुझे घायल किया था नज़रों ने ही
कोई भी हुस्न-ए-ज़ेबाई नहीं थी

महक तारी थी मुझपे उनकी ऐसे
मिटाने पे भी जो मिटती नहीं थी

मुझे इंसान से पत्थर बनाया
तुम्हारी क्या कोई ग़लती नहीं थी

मुहब्बत था दिलों का रिश्ता 'शहरग'
ये बिल्कुल भी अदाकारी नहीं थी

  - Anant Shahrag

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anant Shahrag

As you were reading Shayari by Anant Shahrag

Similar Writers

our suggestion based on Anant Shahrag

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari