us ke hisse mein gham hi likkha hai
khushiyaan sabko jo baanta karta hai
hai kisi aur ki i'baadat vo
rab jise dil mera ye kehta hai
aur duniya rahe bhi jaise mujhe
khud ko bas khush-mizaaj rakhna hai
jo mujhe chahti hai meera si
hijr ka vish use bhi peena hai
us ko maaloom hi nahin shaayad
krishna ka pyaar sirf radha hai
dil bhala toot kar na kyun bikhre
jab mera pyaar ik tamasha hai
regzaaron mein rahne waala main
mujh ko ik phool ki tamannaa hai
sher aaye samajh use shaayad
meri ghazlon mein istiaara hai
ujde din hai khiza ke sheharg phir
baag mein bhaunra kyun bhatkata hai
उस के हिस्से में ग़म ही लिक्खा है
ख़ुशियाँ सबको जो बाँटा करता है
है किसी और की इ'बादत वो
रब जिसे दिल मेरा ये कहता है
और दुनिया रहे भी जैसे, मुझे
ख़ुद को बस ख़ुश-मिज़ाज रखना है
जो मुझे चाहती है मीरा सी
हिज्र का विष उसे भी पीना है
उस को मालूम ही नहीं शायद
कृष्ण का प्यार सिर्फ़ राधा है
दिल भला टूट कर न क्यों बिखरे
जब मिरा प्यार इक तमाशा है
रेगज़ारों में रहने वाला मैं
मुझ को इक फूल की तमन्ना है
शेर आये समझ उसे शायद
मेरी ग़ज़लों में इस्तिआरा है
उजड़े दिन है ख़िज़ा के 'शहरग' फिर
बाग़ में भौंरा क्यों भटकता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anant Shahrag
our suggestion based on Anant Shahrag
As you were reading Radha Krishna Shayari Shayari