muhabbat ashk hai afsos hai ya bas kahaani hai | मुहब्बत अश्क है अफ़सोस है या बस कहानी है - Jai Prakash Narayan Pandey

muhabbat ashk hai afsos hai ya bas kahaani hai
muhabbat ishq hai ehsaas hai shayar bayaani hai

nadi bhi dekh kar mujhko to yun hairaan rahti hai
ki sehra ho ke kaise is mein dariya si rawaani hai

bata doon raaz-e-shadaabi meri kya is zamaane ko
ye uske muskuraahat ki hi mujh pe meherbaani hai

main jab bhi usse milta khul ke kuch bhi kah nahin paata
agarche yaad mujhko vaade saare munh zabaani hai

ghamo ki sej hai maana muhabbat is zamaane ki
ye lutf-e-zindagaani par humein to aazmaani hai

mera jab se muhabbat ka bharam toota bahaaron mein
gulon ke tab se hi mausam sabhi mujhko khizaani hai

mera hi dost kar baitha raqeebi mujhse jaane kyun
lagao phone kehna usse to yaari nibhaani hai

nahin ab dehr bhi ye kaam ki apne bachi sheharg
ki jisse dil lagaaya usse hi hijrat lagaani hai

मुहब्बत अश्क है अफ़सोस है या बस कहानी है
मुहब्बत इश्क़ है एहसास है शायर बयानी है

नदी भी देख कर मुझको तो यूँ हैरान रहती है
कि सहरा हो के कैसे इस में दरिया सी रवानी है

बता दूँ राज़-ए-शादाबी मिरी क्या इस ज़माने को
ये उसके मुस्कुराहट की ही मुझ पे मेहरबानी है

मैं जब भी उससे मिलता खुल के कुछ भी कह नहीं पाता
अगरचे याद मुझको वादे सारे मुँह ज़बानी है

ग़मो की सेज है माना मुहब्बत इस ज़माने की
ये लुत्फ़-ए-ज़िंदगानी पर हमें तो आज़मानी है

मिरा जब से मुहब्बत का भरम टूटा बहारों में
गुलों के तब से ही मौसम सभी मुझको ख़िज़ानी है

मेरा ही दोस्त कर बैठा रक़ीबी मुझसे जाने क्यों
लगाओ फ़ोन कहना उससे तो यारी निभानी है

नहीं अब दहर भी ये काम की अपने बची 'शहरग'
कि जिससे दिल लगाया उससे ही हिजरत लगानी है

- Jai Prakash Narayan Pandey
0 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jai Prakash Narayan Pandey

As you were reading Shayari by Jai Prakash Narayan Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Jai Prakash Narayan Pandey

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari