mere sapne ko ab tu sar kar de | मेरे सपने को अब तू सर कर दे

  - Anant Shahrag

mere sapne ko ab tu sar kar de
rab use mera hum-safar kar de

zindagi ke bache kuche pannen
kar de yakja ya muntashar kar de

uski yaadon se chain pad jaaye
ab ye tadbeer kaargar kar de

dukh bhi apne main kah sakoon jis se
koi itna azeez-tar kar de

phir muhabbat ki jisko chaahat ho
usko haalat meri khabar kar de

ye shab-e-hizr guzre nai tanhaa
chaand raushan ye is qadar kar de

jis pe chal ke azeem ho sheharg
rab ata aisi rahguzar kar de

मेरे सपने को अब तू सर कर दे
रब उसे मेरा हम-सफ़र कर दे

ज़िन्दगी के बचे कुचे पन्नें
कर दे यकजा या मुंतशर कर दे

उसकी यादों से चैन पड़ जाए
अब ये तदबीर कारगर कर दे

दुख भी अपने मैं कह सकूँ जिस से
कोई इतना अज़ीज़-तर कर दे

फिर मुहब्बत की जिसको चाहत हो
उसको हालत मिरी ख़बर कर दे

ये शब-ए-हिज़्र गुज़रे नइ तन्हा
चाँद रौशन ये इस क़दर कर दे

जिस पे चल के अज़ीम हो 'शहरग'
रब अता ऐसी रहगुज़र कर दे

  - Anant Shahrag

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anant Shahrag

As you were reading Shayari by Anant Shahrag

Similar Writers

our suggestion based on Anant Shahrag

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari