ye jitna us se ab tak khul gaye hain
kabhi itna kisi se nai khule hain
vo hai paivast mujh mein is tarah kuchh
ghazal mein bas usi ke qaafiye hain
nahin tha kholna ye raaz hamko
magar ab saamne se bolte hain
nahin karne hai jaao baat us se
are ham yaar tanhaa hi bhale hain
kahi ye aashiyaane bah na jaaye
lihaaza baarishen roke hue hain
bharenge kaise batlaao zara tum
hamaare darmiyaan jo faasle hai
kisi ko kuchh kisi ko kuchh laga hoon
alag sheharg ke saare zaaviye hain
ये जितना उस से अब तक खुल गये हैं
कभी इतना किसी से नईं खुले हैं
वो है पैवस्त मुझ में इस तरह कुछ
ग़ज़ल में बस उसी के क़ाफ़िए हैं
नहीं था खोलना ये राज़ हमको
मगर अब सामने से बोलते हैं
नहीं करनी है जाओ बात उस से
अरे हम यार तन्हा ही भले हैं
कहीं ये आशियाने बह न जाये
लिहाज़ा बारिशें रोके हुए हैं
भरेंगे कैसे बतलाओ ज़रा तुम
हमारे दरमियाँ जो फ़ासले है
किसी को कुछ किसी को कुछ लगा हूँ
अलग शहरग के सारे ज़ाविए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anant Shahrag
our suggestion based on Anant Shahrag
As you were reading Raaz Shayari Shayari