chaai ke a'ashiq ko bhi may-khwaar hona chahiye | चाय के आ'शिक़ को भी मय-ख़्वार होना चाहिए? - Jai Prakash Narayan Pandey

chaai ke a'ashiq ko bhi may-khwaar hona chahiye
yaani tum sa hi mujhe bekar hona chahiye

kar diya mujh ko hawaale zillaton ke tumne bhi
ai khuda tumko to rishtedaar hona chahiye

phool ki khwaahish mein dekho kaanton se dil ja laga
nai kisi ko itna bhi hushiyaar hona chahiye

dar agar mujhko lage us se bichhad jaane ka to
thoda sa dar to use bhi yaar hona chahiye

phool sookha hi sahi ab aaye hisse mein mere
mujh pe bhi chhota sa ye upkaar hona chahiye

maana yaktarfaa muhabbat thi meri guzre dinon
ho na ab iqraar to inkaar hona chahiye

vo meri ghazlon mein sheharg raqs karti raat din
us ki ghazlon mein mera kirdaar hona chahiye

चाय के आ'शिक़ को भी मय-ख़्वार होना चाहिए?
यानी तुम सा ही मुझे बेकार होना चाहिए

कर दिया मुझ को हवाले ज़िल्लतों के तुमने भी
ऐ ख़ुदा तुमको तो रिश्तेदार होना चाहिए

फूल की ख़्वाहिश में देखो काँटों से दिल जा लगा
नइ किसी को इतना भी हुशियार होना चाहिए

डर अगर मुझको लगे उस से बिछड़ जाने का तो
थोड़ा सा डर तो उसे भी यार होना चाहिए

फूल सूखा ही सही अब आये हिस्से में मिरे
मुझ पे भी छोटा सा ये उपकार होना चाहिए

माना यकतरफ़ा मुहब्बत थी मिरी गुज़रे दिनों
हो न अब इक़रार तो इंकार होना चाहिए

वो मिरी ग़ज़लों में 'शहरग' रक़्स करती रात दिन
उस की ग़ज़लों में मिरा किरदार होना चाहिए

- Jai Prakash Narayan Pandey
3 Likes

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jai Prakash Narayan Pandey

As you were reading Shayari by Jai Prakash Narayan Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Jai Prakash Narayan Pandey

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari