tumko main likhoon kitna aur in deewaron par
haath phat gaya hai likhte hue daraaron par
khatm tum use kar doge main bhi zara dekhoon
koi aanch kaise aati hai mere yaaron par
tab tumheen ne hi apna rasta moda tha warna
jaane ko main to tha mustaid un sitaaron par
vaise dosti to usne kabhi nahin ki aur
aaj haath bhi mera chhodaa hai kinaaron par
kya karein nahin sahab se milaaya kismat ne
zindagi hamaari beeti hai bas kataaron par
तुमको मैं लिखूँ कितना और इन दीवारों पर
हाथ फट गया है लिखते हुए दरारों पर
ख़त्म तुम उसे कर दोगे मैं भी ज़रा देखूँ
कोई आँच कैसे आती है मेरे यारों पर
तब तुम्हीं ने ही अपना रस्ता मोड़ा था वर्ना
जाने को मैं तो था मुस्तैद उन सितारों पर
वैसे दोस्ती तो उसने कभी नहीं की और
आज हाथ भी मेरा छोड़ा है किनारों पर
क्या करें नहीं साहब से मिलाया किस्मत ने
ज़िन्दगी हमारी बीती है बस कतारों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ayush Aavart
our suggestion based on Ayush Aavart
As you were reading Zindagi Shayari Shayari