gar geet ke main shabd hoon to saaz hai sakhi
meri har ek peer ki awaaz hai sakhi
ik baat bhool baitha to dekho ye kya hua
mujhko akela kar diya naaraz hai sakhi
koi na koi raaz sabhi log rakhte hain
chahe tumhaara jo ho mera raaz hai sakhi
rishta nahin hai khooon ka koi aur phir bhi tum
itne qareeb kya kahoon ejaz hai sakhi
tu sun le sher mere magar itna yaad rakh
alfaaz saare mere hain andaaz hai sakhi
गर गीत के मैं शब्द हूँ तो साज़ है सखी
मेरी हर एक पीर की आवाज़ है सखी
इक बात भूल बैठा तो देखो ये क्या हुआ
मुझको अकेला कर दिया नाराज़ है सखी
कोई न कोई राज़ सभी लोग रखते हैं
चाहे तुम्हारा जो हो मेरा राज़ है सखी
रिश्ता नहीं है खूँ का कोई और फिर भी तुम
इतने क़रीब क्या कहूँ एजाज़ है सखी
तू सुन ले शेर मेरे मगर इतना याद रख
अल्फाज़ सारे मेरे हैं अंदाज़ है सखी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ayush Aavart
our suggestion based on Ayush Aavart
As you were reading Rishta Shayari Shayari