koi avtaar shaayad lene waala tha
jidhar dekho ujaala hi ujaala tha
kahaani mahaj thi ik shaam ki yaaron
kisi ne aankh se hi maar daala tha
main barson se jise bistar samajhta tha
vo to ik asl mein makdi ka jaalaa tha
siyaasat jhooth kehta hai maseeha ko
hawaon aur toofanon ne paala tha
pari ke husn ko thukraaya sabne hi
jo uska dil tha vo behad hi kaala tha
tu jis aavart ko thi kar gai tanhaa
use maine andhere mein sambhaala tha
कोई अवतार शायद लेने वाला था
जिधर देखो उजाला ही उजाला था
कहानी महज़ थी इक शाम की यारों
किसी ने आँख से ही मार डाला था
मैं बरसों से जिसे बिस्तर समझता था
वो तो इक अस्ल में मकड़ी का जाला था
सियासत झूठ कहता है मसीहा को
हवाओं और तूफानों ने पाला था
परी के हुस्न को ठुकराया सबने ही
जो उसका दिल था वो बेहद ही काला था
तू जिस 'आवर्त' को थी कर गई तन्हा
उसे मैंने अँधेरे में सँभाला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ayush Aavart
our suggestion based on Ayush Aavart
As you were reading Political Shayari Shayari