yaar tere haath mein sharaab ka gilaas hai | यार तेरे हाथ में शराब का गिलास है

  - Ayush Aavart

yaar tere haath mein sharaab ka gilaas hai
aaj ek ghante baad ki hamaari class hai

ai khuda muaaf karna mujhko tha nahin pata
muflison ke paas bas fata hua libaas hai

jab tujhe khabar nahin udaasi ke taqaazo ki
kyun ye daava karta hai ki tu hi gham shanaas hai

kuchh samandaro ke hain kinaare mujhse poochte
aur kuchh hai ya faqat bujhi hui si aas hai

ladki is tarah tu sabki baaton mein na aaya kar
pyaar hai tu mera bas na ye ki meri pyaas hai

shams halka halka jab dikhaai de samajhna tum
shaam hone waali hai sitaara aas paas hai

यार तेरे हाथ में शराब का गिलास है
आज एक घंटे बाद की हमारी क्लास है

ऐ खुदा मुआफ़ करना मुझको था नहीं पता
मुफ़्लिसों के पास बस फटा हुआ लिबास है

जब तुझे ख़बर नहीं उदासी के तक़ाज़ो की
क्यों ये दावा करता है कि तू ही ग़म शनास है

कुछ समंदरो के हैं किनारे मुझसे पूछते
और कुछ है या फ़क़त बुझी हुई सी आस है

लड़की इस तरह तू सबकी बातों में न आया कर
प्यार है तू मेरा बस न ये कि मेरी प्यास है

शम्स हल्का हल्का जब दिखाई दे समझना तुम
शाम होने वाली है सितारा आस पास है

  - Ayush Aavart

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ayush Aavart

As you were reading Shayari by Ayush Aavart

Similar Writers

our suggestion based on Ayush Aavart

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari