mohabbat ne kabhi hamko kahi tanhaa nahin chhodaa
so ik tasveer ne mera abhi batua nahin chhodaa
bade noton ke aane jaane ka kya hi bharosa hai
sahi to hai ki hamne bhi kabhi sikka nahin chhodaa
chale the chhod kar ghar baar ham tanhaa bitaane din
magar ik dil ki chaahat ne mera peecha nahin chhodaa
hai seekha hamne jeena zindagi haalaat se judkar
wagarana hamne aise to kabhi kaaba nahin chhodaa
tumheen shab bhar rahe mujhmein bhatkte khwaab ki soorat
bataaye kya ki kyun hamne tira sajda nahin chhodaa
kise hai bair saahil ke nazaaron se magar dil ne
kabhi bhi dasht mein toofan se ladna nahin chhodaa
vajoo karne chale the ham gunaahon ko jab dariya mein
to hamne ek bhi phir mulk mein dariya nahin chhodaa
मोहब्बत ने कभी हमको कहीं तन्हा नहीं छोड़ा
सो इक तस्वीर ने मेरा अभी बटुआ नहीं छोड़ा
बड़े नोटों के आने जाने का क्या ही भरोसा है
सही तो है कि हमने भी कभी सिक्का नहीं छोड़ा
चले थे छोड़ कर घर बार हम तन्हा बिताने दिन
मगर इक दिल की चाहत ने मिरा पीछा नहीं छोड़ा
है सीखा हमनें जीना जिन्दगी, हालात से जुड़कर
वगरना हमने ऐसे तो कभी काबा नहीं छोड़ा
तुम्हीं शब भर रहे मुझमें भटकते ख्वाब की सूरत
बताये क्या कि क्यों हमने तिरा सजदा नहीं छोड़ा
किसे है बैर साहिल के नजारों से, मगर दिल ने
कभी भी दश्त में तूफान से लड़ना नहीं छोड़ा
वजू करने चले थे हम गुनाहों को जब दरिया में
तो हमने एक भी फिर मुल्क में दरिया नहीं छोड़ा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Omkar Bhaskar Das
our suggestion based on Omkar Bhaskar Das
As you were reading Samundar Shayari Shayari