maut daaman chhuda chali mujh se
chahti kya hai zindagi mujh se
gar tumhein chhod kar hi jaana tha
kis liye ki thi dillagi mujh se
is qadar aandhiyaan chali gham ki
le gai meri har khushi mujh se
teergi mein ghira hua hoon ab
ho gai door raushni mujh se
faiz dekho to kaun aaya hai
jisko ummeed bhi na thi mujh se
मौत दामन छुड़ा चली मुझ से
चाहती क्या है ज़िन्दगी मुझ से
गर तुम्हें छोड़ कर ही जाना था
किस लिए की थी दिल्लगी मुझ से
इस क़दर आंधियाँ चली ग़म की
ले गई मेरी हर ख़ुशी मुझ से
तीरगी में घिरा हुआ हूँ अब
हो गई दूर रौशनी मुझ से
'फ़ैज़' देखो तो कौन आया है
जिसको उम्मीद भी न थी मुझ से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Hadsa Shayari Shayari