hunar jab fan mein dhalt hai badi takleef hoti hai
ragon ka khoon jalta hai badi takleef hoti hai
ghazal goii ko kya tum ne bahut aasaan samjha hai
jab ismein dil pighlata hai badi takleef hoti hai
jo shab bedaar hote hain ye un ke dil se poocho tum
ki jab suraj nikalta hai badi takleef hoti hai
chaman ke saare phoolon se muhabbat hai mujhe lekin
koi in ko maslata hai badi takleef hoti hai
jise dil mein basa ke hamne palkon par sajaaya tha
vo hi armaan kuchalta hai badi takleef hoti hai
unhen baaton hi baaton mein ham akshar choo to lete hain
magar jab haath jalta hai badi takleef hoti hai
sunhari dhoop mein ham faiz us ke saath rahte hain
magar jab waqt dhalt hai badi takleef hoti hai
हुनर जब फ़न में ढलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
रगों का ख़ून जलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
ग़ज़ल गोई को क्या तुम ने बहुत आसान समझा है
जब इसमें दिल पिघलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
जो शब बेदार होते हैं ये उन के दिल से पूछो तुम
कि जब सूरज निकलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
चमन के सारे फूलों से मुहब्बत है मुझे लेकिन
कोई इन को मसलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
जिसे दिल में बसा के हमने पलकों पर सजाया था
वो ही अरमाँ कुचलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
उन्हें बातों ही बातों में हम अक्सर छू तो लेते हैं
मगर जब हाथ जलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
सुनहरी धूप में हम फ़ैज़ उस के साथ रहते हैं
मगर जब वक्त ढलता है बड़ी तकलीफ़ होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Murder Shayari Shayari