muhabbat mein koi aashiq agar fankaar ban jaaye
to phir ye ain mumkin hai ki dil bazaar ban jaaye
tiri raahen tira koocha agar ghar baar ban jaaye
tiri hasrat mein jo mar jaaye vo memaar ban jaaye
vo saahir jo bana deta hai patthar sab deewano ko
hai mumkin us ki laathi bhi kabhi talwaar ban jaaye
zara si der bas aa ja mere deedaar ki khaatir
kahi aisa na ho ye jism bhi murdaar ban jaaye
mujhe kuchh bhi nahin kehna faqat khaamosh rahna hai
na jaane kab mere haathon koi shehkaar ban jaaye
fana ho jaayenge ik roz duniya ke sabhi zalim
hamaara ik mujahid sa agar qirdaar ban jaaye
khudaara faiz ko itni nahin daulat ata karna
kahi aisa na ho bhaai mera gaddaar ban jaaye
मुहब्बत में कोई आशिक़ अगर फ़नकार बन जाए
तो फिर ये ऐन मुमकिन है कि दिल बाज़ार बन जाए
तिरी राहें तिरा कूचा अगर घर बार बन जाए
तिरी हसरत में जो मर जाए वो मेमार बन जाए
वो साहिर जो बना देता है पत्थर सब दिवानों को
है मुमकिन उस की लाठी भी कभी तलवार बन जाए
ज़रा सी देर बस आ जा मिरे दीदार की ख़ातिर
कहीं ऐसा न हो ये जिस्म भी मुर्दार बन जाए
मुझे कुछ भी नहीं कहना फ़क़त ख़ामोश रहना है
न जाने कब मिरे हाथों कोई शहकार बन जाए
फ़ना हो जाएँगे इक रोज़ दुनिया के सभी ज़ालिम
हमारा इक मुजाहिद सा अगर क़िरदार बन जाए
ख़ुदारा 'फ़ैज़' को इतनी नहीं दौलत अता करना
कहीं ऐसा न हो भाई मिरा ग़द्दार बन जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Badan Shayari Shayari