mujh ko is mod par chhod jaane ke baad | मुझ को इस मोड़ पर छोड़ जाने के बाद

  - Dard Faiz Khan

mujh ko is mod par chhod jaane ke baad
kya mile ga tujhe dil dukhaane ke baad

chehre ahbaab ke phir utarne lage
jab hanse ham kabhi gham chhupaane ke baad

rizq ke vaaste ghar se nikla tha main
dil masarrat mein hai kuchh kamaane ke baad

zindagi ki haqeeqat samajh aa gai
baarishon mein patange udaane ke baad

dekh le ja ke taarikh ae karbo bala
aur ooncha hua sar kataane ke baad

aisa bikhra hua hai tira faiz ab
jaise sheesha koi toot jaane ke baad

मुझ को इस मोड़ पर छोड़ जाने के बाद
क्या मिले गा तुझे दिल दुखाने के बाद

चेहरे अहबाब के फिर उतरने लगे
जब हँसे हम कभी ग़म छुपाने के बाद

रिज़्क़ के वास्ते घर से निकला था मैं
दिल मसर्रत में है कुछ कमाने के बाद

ज़िंदगी की हक़ीक़त समझ आ गई
बारिशों में पतंगें उड़ाने के बाद

देख ले जा के तारीख़ ए कर्बो बला
और ऊँचा हुआ सर कटाने के बाद

ऐसा बिखरा हुआ है तिरा फैज़ अब
जैसे शीशा कोई टूट जाने के बाद

  - Dard Faiz Khan

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dard Faiz Khan

As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan

Similar Writers

our suggestion based on Dard Faiz Khan

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari