tum ko aise salaam karte hain
jaise saare ghulaam karte hain
khasta haalon ko kaun sunta hai
ham to khud se kalaam karte hain
khud numaai ki kya zaroorat hai
chhota mota sa kaam karte hain
hamne dekha hai ahl ae ulfat ko
apni neenden haraam karte hain
vo ye kahte hain faiz ab mujh se
teri yaadon mein shaam karte hain
तुम को ऐसे सलाम करते हैं
जैसे सारे ग़ुलाम करते हैं
ख़स्ता हालों को कौन सुनता है
हम तो ख़ुद से कलाम करते हैं
ख़ुद नुमाई की क्या ज़रूरत है
छोटा मोटा सा काम करते हैं
हमने देखा है अहल ए उल्फ़त को
अपनी नींदें हराम करते हैं
वो ये कहते हैं फ़ैज़ अब मुझ से
तेरी यादों में शाम करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Ulfat Shayari Shayari