din kathin jaise hai sitaaron par
raat bhari hai be qaraaron par
tujh ko maaloom hi nahin padta
kya guzarti hai sogwaaron par
kar le taskheer tu zameen apni
hai nazar meri chaand taaron par
naachta hai jo naache jee bhar ke
main nahin naachta ishaaron par
jisko jalwa tira mayassar ho
kyun nazar dale vo nazaaron par
rang le aayi hai dua shaayad
phool khilne lage mazaaroon par
har bure waqt mein mujhe thaama
naaz hai mujhko apne yaaron par
jinko samjha tha na khuda maine
vo khade rah gaye kinaaron par
faiz koi nahin mila karta
ishq chalta hai bas khasaaron par
दिन कठिन जैसे है सितारों पर
रात भारी है बे क़रारों पर
तुझ को मालूम ही नहीं पड़ता
क्या गुज़रती है सोगवारों पर
कर ले तस्ख़ीर तू ज़मीं अपनी
है नज़र मेरी चाँद तारों पर
नाचता है जो नाचे जी भर के
मैं नहीं नाचता इशारों पर
जिसको जलवा तिरा मयस्सर हो
क्यों नज़र डाले वो नज़ारों पर
रंग ले आई है दुआ शायद
फूल खिलने लगे मजा़रों पर
हर बुरे वक्त में मुझे थामा
नाज़ है मुझको अपने यारों पर
जिनको समझा था न ख़ुदा मैंने
वो खड़े रह गए किनारों पर
फ़ैज़ कोई नहीं मिला करता
इश्क़ चलता है बस ख़सारों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Rose Shayari Shayari