shaam-e-gham ki agar sehar hoti
zindagi yun na be asar hoti
tere kooche mein jo nahin aata
jaane kaise meri guzar hoti
haal ae dil kya bataayein ham tum ko
kaash ulfat ki ik nazar hoti
tum na hote agar khayalon mein
umr kaise meri basar hoti
sahal hota mera safar ik din
tu agar meri hamsafar hoti
faiz jis ke liye tadpata hai
kaash usko bhi kuchh khabar hoti
शाम-ए-ग़म की अगर सहर होती
ज़िंदगी यूँ न बे असर होती
तेरे कूचे में जो नहीं आता
जाने कैसे मेरी गुज़र होती
हाल ए दिल क्या बताएँ हम तुम को
काश उल्फ़त की इक नज़र होती
तुम न होते अगर ख़्यालों में
उम्र कैसे मेरी बसर होती
सहल होता मेरा सफ़र इक दिन
तू अगर मेरी हमसफ़र होती
फ़ैज़ जिस के लिए तड़पता है
काश उसको भी कुछ ख़बर होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Zindagi Shayari Shayari