qais ne maana ki sehra dekha hai
aag ka hamne bhi dariya dekha hai
aamad-o-shud sa'at-e hijr-o-visaal
meri in aankhon ne kya kya dekha hai
dukh kisi ka koi kaise samjhe jab
sab ne bas apna hi apna dekha hai
yun nahin hota kisi ka koi bhi
khud ko jaise tera hota dekha hai
maine apne dil ko seene mein nahin
gair ke pahluu mein dhadka dekha hai
ranj dhoke sab mile tere sabab
maine hardam khud ko tanhaa dekha hai
zabt ka daava tha jinko ishq mein
aaj maine un ko rota dekha hai
mujhse milne aaye hain vo mere ghar
faiz maine kaisa sapna dekha hai
क़ैस ने माना कि सहरा देखा है
आग का हमने भी दरिया देखा है
आमद-ओ-शुद, सा'अत-ए- हिज्र-ओ-विसाल
मेरी इन आँखों ने क्या क्या देखा है
दुःख किसी का कोई कैसे समझे जब
सब ने बस अपना ही अपना देखा है
यूँ नहीं होता किसी का कोई भी
ख़ुद को जैसे तेरा होता देखा है
मैंने अपने दिल को सीने में नहीं
ग़ैर के पहलू में धड़का देखा है
रंज, धोखे सब मिले तेरे सबब
मैंने हरदम ख़ुद को तन्हा देखा है
ज़ब्त का दावा था जिनको इश्क़ में
आज मैंने उन को रोता देखा है
मुझसे मिलने आए हैं वो मेरे घर
फ़ैज़ मैंने कैसा सपना देखा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Ghar Shayari Shayari