unki nigaah-e-shokh ki barkat nahin mili | उनकी निगाह-ए-शोख़ की बरकत नहीं मिली - Shadab Asghar

unki nigaah-e-shokh ki barkat nahin mili
shehrat bahut mili hai muhabbat nahin mili

hum ko nikaal fenka gaya be-dili ke saath
hamko kisi ke dil mein bhi izzat nahin mili

sab ko kahaan mila hai jahaan mein tamaam kuch
darwaaza mil gaya hai magar chat nahin mili

us ko mila hai vo jo use chahiye na tha
hum ko mila hai zism par ulfat nahin mili

umren guzar gaeein tere dar par khaṛe-khaṛe
kaise jo dil me aaye izazat nahin mili

haathon mein haath daal ke hum taaz dekhte
lekin kisi bhi haath ki bai'at nahin mili

kuch isliye bhi sher sunaatein nahin hain jald
hum ko hamaare sher ki keemat nahin mili

उनकी निगाह-ए-शोख़ की बरकत नहीं मिली
शहरत बहुत मिली है मुहब्बत नहीं मिली

हम को निकाल फेंका गया बे-दिली के साथ
हमको किसी के दिल में भी इज़्ज़त नहीं मिली

सब को कहाँ मिला है जहाँ में तमाम कुछ
दरवाजा मिल गया है मगर छत नहीं मिली

उस को मिला है वो जो उसे चाहिए न था
हम को मिला है ज़िस्म पर उल्फ़त नहीं मिली

उम्रें गुज़र गईं तेरे दर पर खड़े-खड़े
कैसे जो दिल मे आए इज़ाज़त नहीं मिली

हाथों में हाथ डाल के हम ताज़ देखते
लेकिन किसी भी हाथ की बैअत नहीं मिली

कुछ इसलिए भी शेर सुनातें नहीं हैं जल्द
हम को हमारे शेर की कीमत नहीं मिली

- Shadab Asghar
2 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shadab Asghar

As you were reading Shayari by Shadab Asghar

Similar Writers

our suggestion based on Shadab Asghar

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari