badgumaan be-hisaab hote hain | बदगुमाँ बे-हिसाब होते हैं - Ajay Kumar

badgumaan be-hisaab hote hain
jinke kaale gulaab hote hain

teri yaadon ke baad hum jaise
ek khaali kitaab hote hain

log akshar badal hi jaate hain
log kitne kharab hote hain

aadmi ki tamaam naslon se
jaanwar la-jawaab hote hain

aap apne hisaab se rahiye
unke apne hisaab hote hain

silsile jo masaafton ke hon
silsile iztiraab hote hain

बदगुमाँ बे-हिसाब होते हैं
जिनके काले गुलाब होते हैं

तेरी यादों के बाद हम जैसे
एक ख़ाली किताब होते हैं

लोग अक्सर बदल ही जाते हैं
लोग कितने ख़राब होते हैं

आदमी की तमाम नस्लों से
जानवर ला-जवाब होते हैं

आप अपने हिसाब से रहिए
उनके अपने हिसाब होते हैं

सिलसिले जो मसाफ़तों के हों
सिलसिले इज़्तिराब होते हैं

- Ajay Kumar
4 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Kumar

As you were reading Shayari by Ajay Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Kumar

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari