dilkash hai masafat ka maza raah-e-thakan mein | दिलकश है मसाफ़त का मज़ा राह-ए-थकन में

  - Khawaja Imtiaz Kavish

dilkash hai masafat ka maza raah-e-thakan mein
ik khushboo-e-jannat hai meri khaak-e-watan mein

ya farhat-e-fan ki hai koi achhi alaamat
ya dard-e-tamanna hai mere rang-e-sukhan mein

sunne ko mayassar nahin yaa koi bhi naghma
kehne ko to bulbul bhi nahin mere chaman mein

ye dil ki masarrat hai ki nazaron ka taqaza
taaron ki ravish aayi hai phoolon ki faban mein

main qatra-e-gauhar hoon jo aankhon se hai tapka
tu shabnami resham hai jo chhalaka hai saman mein

chal maqtl-e-ulft ke muqaddar se bari hon
chal palte hain ham mil ke raah-e-daar-o-rasan mein

tum bharte ho dam apni sakhaawat mein uchhal kar
tum ko ho khabar kya ki maza kya hai ghutan mein

ik burg-e-tamanna thi so jal utthi hai kaavish
ik waada-e-dil tha so nazar aaya shikan mein

दिलकश है मसाफ़त का मज़ा राह-ए-थकन में
इक ख़ुशबू-ए-जन्नत है मिरी ख़ाक-ए-वतन में

या फ़रहत-ए-फ़न की है कोई अच्छी अलामत
या दर्द-ए-तमन्ना है मिरे रंग-ए-सुख़न में

सुनने को मयस्सर नहीं याँ कोई भी नग़्मा
कहने को तो बुलबुल भी नहीं मेरे चमन में

ये दिल की मसर्रत है कि नज़रों का तक़ाज़ा
तारों की रविश आई है फूलों की फबन में

मैं क़तरा-ए-गौहर हूँ जो आँखों से है टपका
तू शबनमी रेशम है जो छलका है समन में

चल मक़्तल-ए-उल्फ़त के मुक़द्दर से बरी हों
चल पलते हैं हम मिल के रह-ए-दार-ओ-रसन में

तुम भरते हो दम अपनी सख़ावत में उछल कर
तुम को हो ख़बर क्या कि मज़ा क्या है घुटन में

इक बर्ग-ए-तमन्ना थी सो जल उट्ठी है 'काविश'
इक वादा-ए-दिल था सो नज़र आया शिकन में

  - Khawaja Imtiaz Kavish

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khawaja Imtiaz Kavish

As you were reading Shayari by Khawaja Imtiaz Kavish

Similar Writers

our suggestion based on Khawaja Imtiaz Kavish

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari