dushman ki dushmani ka safar kar raha hoon main
ik umr aagahi ka safar kar raha hoon main
phoolon ko chhod kar hoon main kaanton pe aa gaya
yun dil ki bandagi ka safar kar raha hoon main
nikla hoon apne dil ke parinde ko dhoondne
yaani ki zindagi ka safar kar raha hoon main
dariya se rukh badal ke yun lab-sokhta kahi
jungle mein tishnagi ka safar kar raha hoon main
har pal lahu ki aanch pe kaaghaz ko gholnaa
yun dasht-e-shaayari ka safar kar raha hoon main
khud jee raha hoon jaane main kitne ghamon ke saath
bas ik tiri khushi ka safar kar raha hoon main
ik dil ne mere dil ko hai lootaa jahaan se
ik dil ki dilbari ka safar kar raha hoon main
din garmi-e-jahaan ki khaatir khafa raha
raaton ko raushni ka safar kar raha hoon main
दुश्मन की दुश्मनी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
इक उम्र आगही का सफ़र कर रहा हूँ मैं
फूलों को छोड़ कर हूँ मैं काँटों पे आ गया
यूँ दिल की बंदगी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
निकला हूँ अपने दिल के परिंदे को ढूँढने
यानी कि ज़िंदगी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
दरिया से रुख़ बदल के यूँ लब-सोख़्ता कहीं
जंगल में तिश्नगी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
हर पल लहू की आँच पे काग़ज़ को घोलना
यूँ दश्त-ए-शायरी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
ख़ुद जी रहा हूँ जाने मैं कितने ग़मों के साथ
बस इक तिरी ख़ुशी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
इक दिल ने मेरे दिल को है लूटा जहान से
इक दिल की दिलबरी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
दिन गर्मी-ए-जहान की ख़ातिर ख़फ़ा रहा
रातों को रौशनी का सफ़र कर रहा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khawaja Imtiaz Kavish
our suggestion based on Khawaja Imtiaz Kavish
As you were reading Dushmani Shayari Shayari