gul khilaane ki baat karte ho
aane jaane ki baat karte ho
kitne saada mizaaj ho tum bhi
gham bhulaane ki baat karte ho
bhar ke aankhon mein jaam ashkon ke
may pilaane ki baat karte ho
chand vaade nibha ke tum jaanam
aazmaane ki baat karte ho
roz chadhta hai ik naya suraj
tum purane ki baat karte ho
dil pe khanjar chala ke tum mere
marne jaane ki baat karte ho
kaun aayega ab yahaan kaavish
kiske aane ki baat karte ho
गुल खिलाने की बात करते हो
आने जाने की बात करते हो
कितने सादा मिज़ाज हो तुम भी
ग़म भुलाने की बात करते हो
भर के आँखों में जाम अश्कों के
मय पिलाने की बात करते हो
चंद वादे निभा के तुम जानम
आज़माने की बात करते हो
रोज़ चढ़ता है इक नया सूरज
तुम पुराने की बात करते हो
दिल पे ख़ंजर चला के तुम मेरे
मरने जाने की बात करते हो
कौन आएगा अब यहां 'काविश'
किसके आने की बात करते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khawaja Imtiaz Kavish
our suggestion based on Khawaja Imtiaz Kavish
As you were reading Saadgi Shayari Shayari