zamaana chubh raha tha aur jeena zahar lagta tha
bahut peene laga hai jisko peena zahar lagta tha
badan se khoon bhi ab jo nikal jaaye ganvaara hai
wahi ladka hai ye jisko paseena zahar lagta tha
kisi ke haath mein teddy kisi ke phool hote the
idhar mujhko muhabbat ka mahina zahar lagta tha
kabhi dil mein nahin utara musaafir jism bhar dekha
samandar ko isee kaaran safeena zahar lagta tha
luta daali thi maine zindagi jis shakhs ke khaatir
use har raaste chalta kameena zahar lagta tha
chilam se to kabhi may se mita daala mujarrad ko
mila tha vo gale mere so seena zahar lagta tha
jalaya aur jaanib ko supurd-e-khaak kar daala
zamaane ko chamakta ik nageena zahar lagta tha
ज़माना चुभ रहा था और जीना ज़हर लगता था
बहुत पीने लगा है जिसको पीना ज़हर लगता था
बदन से ख़ून भी अब जो निकल जाए गॅंवारा है
वही लड़का है ये जिसको पसीना ज़हर लगता था
किसी के हाथ में टेडी किसी के फूल होते थे
इधर मुझको मुहब्बत का महीना ज़हर लगता था
कभी दिल में नहीं उतरा मुसाफ़िर जिस्म भर देखा
समंदर को इसी कारण सफ़ीना ज़हर लगता था
लुटा डाली थी मैंने ज़िंदगी जिस शख़्स के ख़ातिर
उसे हर रास्ते चलता कमीना ज़हर लगता था
चिलम से तो कभी मय से मिटा डाला मुजर्रद को
मिला था वो गले मेरे सो सीना ज़हर लगता था
जलाया और 'जानिब' को सुपुर्द-ए-ख़ाक कर डाला
ज़माने को चमकता इक नगीना ज़हर लगता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Janib Vishal
our suggestion based on Janib Vishal
As you were reading Love Shayari Shayari