ek ladki
buland qamat ki ek ladki
bikherthi khushbuen badan ki
meri nigaahon ki rahguzar se
guzar gayi hai
ghareeb-muflis kisi kuti
ka hai chaand shaayad
hai khoobsurat fate-puraane
libaas mein bhi bala ki sundar
zara sa mere qareeb aakar
haseen labon se yun muskuraakar
tamaam aalam ko khushbuon se
vo bhar gai hai
jabeen kushaada chamak rahi hai
kamar bhi uski hai shaakh jaisi
lachak rahi hai
labon pe bikhra hua tabassum
siyaah gesu bhi us badan se
lipt rahe hain
yun jaise koi shajar se
lipti ho bel jaise
qadam-qadam pe
jyon phool khilte hain surkh
goya jidhar gayi hai
vo jisme-naazuk
taraash jiski ho goya
heera vo besh-qeemat
har ik ada mein
ghazab ki hai shabnami lataafat
kisi paree-vash se khoobsurat
sukhnavaron ke khyaal-si hai
ki surkh-roo us haseen ki
main misaal kya doon
gulaal-si hai
nigaah khanjar adaayein qaatil
kamaal lahja bas ik nazar se
mere jigar mein utar gai hai
main hoon ek shayar so mujhko
usmein ghazal dikhi hai
laga hai mujhko ki jaise baade-saba
use gunguna rahi hai
magar vo ladki jise gumaan tak
nahin hai shaayad
ye husn us par hi bojh
ban jaayega yaqeenan
use kaho ki
naqaab mein rakhe husno-ismat
wagarana pachtaayegi baad mein vo
vo mard kahte hain jo yahan par
vo khud ko saabit karenge beshak
dikhaayenge us ghareeb par hi
vo zor apni mardaangi ka
karenge zaahir vo
paak-daman ko taar karke
ki mard hain ham
na usmein unko dikhega
bebas buzurg aankhon ka
ik sitaara
unhen faqat vo fate libaason se
jhaankta ik badan dikhega
hawas-kade mein padi milegi
bas ek uriyaan vo laash ban kar
na mard ki shakl mein un darindon ko
usmein koi behn dikhegi
na maa dikhegi na koi beti
na unko usmein ghazal dikhegi
na shaayri hi
"एक लड़की"
बुलंद क़ामत की एक लड़की
बिखेरती खुशबुएँ बदन की
मेरी निगाहों की रहगुज़र से
गुज़र गयी है
ग़रीब-मुफ़लिस किसी कुटी
का है चाँद शायद
है ख़ूबसूरत, फ़टे-पुराने
लिबास में भी बला की सुंदर
ज़रा सा मेरे क़रीब आकर
हसीं लबों से यूँ मुस्कुराकर
तमाम आलम को ख़ुशबुओं से
वो भर गई है
जबीं कुशादा चमक रही है
कमर भी उसकी है शाख जैसी
लचक रही है
लबों पे बिखरा हुआ तबस्सुम
सियाह गेसू भी उस बदन से
लिपट रहे हैं
यूँ जैसे कोई शजर से
लिपटी हो बेल जैसे
क़दम-क़दम पे
ज्यों फूल खिलते हैं सुर्ख़
गोया, जिधर गयी है
वो जिस्मे-नाज़ुक
तराश जिसकी हो गोया
हीरा वो बेश-क़ीमत
हर इक अदा में
ग़ज़ब की है शबनमी लताफ़त
किसी परी-वश से ख़ूबसरत
सुख़नवरों के ख़याल-सी है
कि सुर्ख़-रू उस हसीन की
मैं मिसाल क्या दूँ
गुलाल-सी है
निगाह खंजर, अदाएँ क़ातिल
कमाल लहजा, बस इक नज़र से
मेरे जिगर में उतर गई है
मैं हूँ एक शायर सो मुझको
उसमें ग़ज़ल दिखी है
लगा है मुझको कि जैसे बादे-सबा
उसे गुनगुना रही है
मगर वो लड़की जिसे गुमाँ तक
नहीं है शायद
ये हुस्न उस पर ही बोझ
बन जाएगा यक़ीनन
उसे कहो कि
नक़ाब में रक्खे हुस्नो-इस्मत
वगरना पछताएगी बाद में वो
वो मर्द कहते हैं जो यहाँ पर
वो ख़ुद को साबित करेंगे बेशक़
दिखाएँगे उस ग़रीब पर ही
वो ज़ोर अपनी मर्दानगी का
करेंगे ज़ाहिर वो
पाक-दामन को तार करके
कि मर्द हैं हम
न उसमें उनको दिखेगा
बेबस बुज़ुर्ग आँखों का
इक सितारा
उन्हें फ़क़त वो फ़टे लिबासों से
झाँकता इक बदन दिखेगा
हवस-कदे में, पड़ी मिलेगी
बस एक उरियाँ वो लाश बन कर
न मर्द की शक्ल में उन दरिंदों को
उसमें कोई बहन दिखेगी
न माँ दिखेगी, न कोई बेटी
न उनको उसमें ग़ज़ल दिखेगी
न शाइरी ही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by KARAN
our suggestion based on KARAN
As you were reading Bijli Shayari Shayari