pehle pehal to pyaar ka vaada kiya gaya
phir meri zindagi ka hi sadqa liya gaya
vaada kiya gaya ke khushi denge har ghadi
lekin harek roz naya gham diya gaya
mere baghair jo nahin jeete the ek pal
phir ek umr kis tarah unko jiya gaya
amrit to phoonk phoonk ke peeta tha main kabhi
zahre firaq mujhse ye kaise piya gaya
jisne jalaya aasthaa ka deep shahr mein
dhooni ramaake shehar se vo jogiya gaya
maanind qaafiya ke jo meri ghazal mein tha
qismat ki maar dekho ke vo qaafiya gaya
maine kumar chaak-e-girebaan nahin siya
mujhse ye zakham-e-dil bhala kaise siya gaya
पहले पहल तो प्यार का वादा किया गया
फिर मेरी ज़िन्दगी का ही सदक़ा लिया गया
वादा किया गया के ख़ुशी देगें हर घड़ी
लेकिन हरेक रोज़ नया ग़म दिया गया
मेरे बग़ैर जो नहीं जीते थे एक पल
फिर एक उम्र किस तरह उनको जिया गया
अमृत तो फूँक फूँक के पीता था मैं कभी
ज़ह्रे फ़िराक़ मुझसे ये कैसे पिया गया
जिसने जलाया आस्था का दीप शह्र में
धूनी रमाके शहर से वो जोगिया गया
मानिंद क़ाफ़िया के जो मेरी ग़ज़ल में था
क़िस्मत की मार देखो के वो क़ाफ़िया गया
मैंने कुमार चाक-ए-गिरेबाँ नहीं सिया
मुझसे ये ज़ख़्म-ए-दिल भला कैसे सिया गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Charagh Shayari Shayari