ye dard bhi wafaon mein dhona pada mujhe
tere siva bhi aur ka hona pada mujhe
mehfil bhi khushgawaar thi au khush the log bhi
phir yaad teri aa gai rona pada mujhe
ik simt muflisi thi to ik simt farz tha
khushiyon ke saath gham ko bhi dhona pada mujhe
tanhaaiyaan bahut mili ruswaaiyaan bhi khoob
bahre alam mein khud ko dubona pada mujhe
ये दर्द भी वफ़ाओं में ढ़ोना पड़ा मुझे
तेरे सिवा भी और का होना पड़ा मुझे
महफ़िल भी ख़ुशगवार थी औ खुश थे लोग भी
फिर याद तेरी आ गई रोना पड़ा मुझे
इक सिम्त मुफ़लिसी थी तो इक सिम्त फ़र्ज़ था
खुशियों के साथ ग़म को भी ढ़ोना पड़ा मुझे
तन्हाईयाँ बहुत मिली रुसवाईयाँ भी ख़ूब
बहरे अलम में ख़ुद को डुबोना पड़ा मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading Gareebi Shayari Shayari