aur kya yaar chahta hoon main | और क्या यार चाहता हूँ मैं

  - Kumar Aryan

aur kya yaar chahta hoon main
bas tera pyaar chahta hoon main

jo chale umr bhar mere baaham
dost do chaar chahta hoon main

dosti ho ya dushmani yaarab
aar ya paar chahta hoon main

jisse shikwa na ho kisi ko bhi
haan vo kirdaar chahta hoon main

jo mita de jahaan se nafrat ko
aisi sarkaar chahta hoon main

jeet bhi jaaun gar zamaane ko
aapse haar chahta hoon main

waqt aakhir hai aa bhi ja zaalim
sirf deedaar chahta hoon main

और क्या यार चाहता हूँ मैं
बस तेरा प्यार चाहता हूँ मैं

जो चले उम्र भर मेरे बाहम
दोस्त दो चार चाहता हूँ मैं

दोस्ती हो या दुश्मनी यारब
आर या पार चाहता हूँ मैं

जिससे शिकवा न हो किसी को भी
हाँ वो किरदार चाहता हूँ मैं

जो मिटा दे जहाँ से नफरत को
ऐसी सरकार चाहता हूँ मैं

जीत भी जाऊँ ग़र ज़माने को
आपसे हार चाहता हूँ मैं

वक़्त आख़िर है आ भी जा ज़ालिम
सिर्फ़ दीदार चाहता हूँ मैं

  - Kumar Aryan

Qatil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kumar Aryan

As you were reading Shayari by Kumar Aryan

Similar Writers

our suggestion based on Kumar Aryan

Similar Moods

As you were reading Qatil Shayari Shayari