hai aaj bhi karzaa tera bebaak nahin hoon | है आज भी कर्ज़ा तेरा बेबाक़ नहीं हूँ

  - Vikas Shah musafir

hai aaj bhi karzaa tera bebaak nahin hoon
makkaar na samjho mujhe aafaq nahin hoon

afaaq bhi ye mujhse chhupaane laga chehra
itna na dare mujhse main qilmaaq nahin hoon

kyun kha rahi andar se tumhaari ye muhabbat
aisa na kare main koi arzaaq nahin hoon

itna bhi mere baare ghuma kar na bata ab
main to khuli ik jild hoon ihqaq nahin hoon

mat ponch mere jism mein ab apne ye aansu
aur sun le main tera koi yashmaaq nahin hoon

है आज भी कर्ज़ा तेरा बेबाक़ नहीं हूँ
मक्कार न समझो मुझे आफ़ाक़ नहीं हूँ

आफ़ाक़ भी ये मुझसे छुपाने लगा चेहरा
इतना न डरे मुझसे मैं क़िलमाक़ नहीं हूँ

क्यों खा रही अंदर से तुम्हारी ये मुहब्बत
ऐसा न करे मैं कोई अर्ज़ाक़ नहीं हूँ

इतना भी मेरे बारे घुमा कर न बता अब
मैं तो खुली इक जिल्द हूँ इहक़ाक़ नहीं हूँ

मत पोंछ मेरे जिस्म में अब अपने ये आँसू
और सुन ले मैं तेरा कोई यश्माक़ नहीं हूँ

  - Vikas Shah musafir

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari