shauq se gar tujhe marna hai muhabbat kar le
saath hi saath muhabbat se tu shiddat kar le
saari duniya ko munaasib nahin kar saka hai
aise logon se bana doori tu hijrat kar le
khud ki gar shaan ko lutwaana hai to aisa kar
ab tu is poore zamaane se hi shirkat kar le
vo muhabbat na kare aisa nahin kehta hoon
kar le sab kuchh vo magar hasb-e-zaroorat kar le
kaise bhi kar ke use hijr se baahar laao
kahi mar jaane ke jaisi na vo naubat kar le
zinda rahna hai tujhe chhod de duniyadari
aur mulkaat-e-razila se bhi vehshat kar le
शौक़ से गर तुझे मरना है मुहब्बत कर ले
साथ ही साथ मुहब्बत से तू शिद्दत कर ले
सारी दुनिया को मुनासिब नहीं कर सकता है
ऐसे लोगों से बना दूरी तू हिजरत कर ले
ख़ुद कि गर शान को लुटवाना है तो ऐसा कर
अब तू इस पूरे ज़माने से ही शिरकत कर ले
वो मुहब्बत न करे ऐसा नहीं कहता हूँ
कर ले सब कुछ वो मगर हस्ब-ए-ज़रूरत कर ले
कैसे भी कर के उसे हिज्र से बाहर लाओ
कहीं मर जाने के जैसी न वो नौबत कर ले
ज़िंदा रहना है तुझे छोड़ दे दुनिया-दारी
और मलकात-ए-रज़ीला से भी वहशत कर ले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Haalaat Shayari Shayari