tere jaisa khone se dil ko mere hasrat nahin hai | तेरे जैसा खोने से दिल को मेरे हसरत नहीं है

  - Vikas Shah musafir

tere jaisa khone se dil ko mere hasrat nahin hai
ishq jaisi cheez se mujhko koi ulfat nahin hai

ab tumhein apna kahein ham aur seene se lagaale
ab zabardasti karein aisi meri chaahat nahin hai

pehle jab ye dil tera tha to tu itraati thi ladki
ab kisi pe waqt ye barbaad ho furqat nahin hai

sochta kya hai vo dushman chhup raha hai vaar karke
saamne aane ki mere usmein ab himmat nahin hai

ab ijaazat maang kar tum kya karoge aa bhi jaao
seekh lo daftar mein jaana phir kaho aadat nahin hai

तेरे जैसा खोने से दिल को मेरे हसरत नहीं है
इश्क़ जैसी चीज से मुझको कोई उलफ़त नहीं है

अब तुम्हें अपना कहें हम और सीने से लगालें
अब ज़बरदस्ती करें ऐसी मेरी चाहत नहीं है

पहले जब ये दिल तेरा था तो तू इतराती थी लड़की
अब किसी पे वक़्त ये बर्बाद हो फ़ुर्सत नहीं है

सोचता क्या है वो दुश्मन छुप रहा है वार करके
सामने आने की मेरे उसमें अब हिम्मत नहीं है

अब इजाज़त माँग कर तुम क्या करोगे आ भी जाओ
सीख लो दफ़्तर में जाना फिर कहो आदत नहीं है

  - Vikas Shah musafir

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari