tumko lagta hai magar koi yahan saccha nahin
har kisi par yun taras aa jaana bhi achha nahin
khud ka sauda baap karta ghar chalaane ke liye
aur yahan par bacchon se ik baap bhi chalta nahin
chashm mein ummeed hai jo vo banaaye rakhna tum
hoga koi rehnuma sab mein gumaan hota nahin
ja chuki thi jo vo phir se chahti hai lautna
meri khud-daari hai ye mud kar use dekha nahin
kuchh bacha nain maine kho di saari duniya is tarah
kya karoon mujhko manaane ka hunar aata nahin
ai khuda mujh par daya karna muhabbat ab na ho
haan mohabbat ka dikhaava mujhse ab hoga nahin
तुमको लगता है मगर कोई यहाँ सच्चा नहीं
हर किसी पर यूँ तरस आ जाना भी अच्छा नहीं
ख़ुद का सौदा बाप करता घर चलाने के लिए
और यहाँ पर बच्चों से इक बाप भी चलता नहीं
चश्म में उम्मीद है जो वो बनाये रखना तुम
होगा कोई रहनुमा सब में गुमाँ होता नहीं
जा चुकी थी जो वो फिर से चाहती है लौटना
मेरी ख़ुद-दारी है ये मुड़ कर उसे देखा नहीं
कुछ बचा नइँ मैंने खो दी सारी दुनिया इस तरह
क्या करूँ मुझको मनाने का हुनर आता नहीं
ऐ ख़ुदा मुझ पर दया करना मुहब्बत अब न हो
हाँ मुहब्ब्त का दिखावा मुझसे अब होगा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir
our suggestion based on Vikas Shah musafir
As you were reading Attitude Shayari Shayari