raaston ka safar hosh mein rahte kar
daudna to zaroori nahin chalke kar
baat kya likhni thi kya likhe jaaye ho
prashn ka hal sada prashn ko parhke kar
kaun jaane kahaan aur kab hoga kya
khoob khushiyaan manaa mauj bhi khulke kar
tu safaal hoga bas baat ye yaad rakh
kaam koi bhi ho bas use dil se kar
har koi hai yahan ek khoobi liye
kaun si tujhmein hai prashn ye khud se kar
रास्तों का सफ़र होश में रहते कर
दौड़ना तो ज़रूरी नहीं चलके कर
बात क्या लिखनी थी क्या लिखे जाए हो
प्रश्न का हल सदा प्रश्न को पढ़के कर
कौन जाने कहाँ और कब होगा क्या
खूब खुशियां मना मौज भी खुलके कर
तू सफ़ल होगा बस बात ये याद रख
काम कोई भी हो बस उसे दिल से कर
हर कोई है यहाँ एक ख़ूबी लिए
कौन सी तुझमें है, प्रश्न ये खुद से कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raju Gupta
our suggestion based on Raju Gupta
As you were reading Promise Shayari Shayari