deewar-o-dar ki ot mein chupke se roiyie | दीवार-ओ-दर की ओट में चुपके से रोइए

  - Rishabh Sharma

deewar-o-dar ki ot mein chupke se roiyie
dekhe na koi aapko dekhe se roiyie

chup-chup na mujhko boliye ai mere pyaare dost
main ro raha hoon aap bhi aage se roiyie

pehle to aap seekhie karte hain kaise baat
ye baat kya hui ki saleeqe se roiyie

maatam-zada hain aap to chehre pe saaf ho
meri salaah maaniye pehle se roiyie

chaliye shuroo'u kijie phir se hamaara dukh
achhe se yaad kijie achhe se roiyie

दीवार-ओ-दर की ओट में चुपके से रोइए
देखे न कोई आपको देखे से रोइए

चुप-चुप न मुझको बोलिए ऐ मेरे प्यारे दोस्त
मैं रो रहा हूॅं आप भी आगे से रोइए

पहले तो आप सीखिए करते हैं कैसे बात
ये बात क्या हुई कि सलीक़े से रोइए

मातम-ज़दा हैं आप तो चेहरे पे साफ़ हो
मेरी सलाह मानिए पहले से रोइए

चलिए शुरू'अ कीजिए फिर से हमारा दुख
अच्छे से याद कीजिए अच्छे से रोइए

  - Rishabh Sharma

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rishabh Sharma

As you were reading Shayari by Rishabh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Rishabh Sharma

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari