saath uska jaavedaana chahiye
yaani mujhko qaid-khaana chahiye
kab talak ban kar musaafir hi rahe
ab hawa ko bhi thikaana chahiye
ik ghadi ko bhi nahin rukti nadi
tumko bhi milna-milaana chahiye
haal par mere kabhi hansata nahin
aaine se dil lagana chahiye
har kisi ko be-dili haasil nahin
lutf inka bhi uthaana chahiye
sab naseehat hai yahan sacchi magar
ishq mein mitna-mitaana chahiye
साथ उसका जावेदाना चाहिए
यानी मुझको क़ैद-खाना चाहिए
कब तलक बन कर मुसाफ़िर ही रहे
अब हवा को भी ठिकाना चाहिए
इक घड़ी को भी नहीं रुकती नदी
तुमको भी मिलना-मिलाना चाहिए
हाल पर मेरे कभी हंँसता नहीं
आईने से दिल लगाना चाहिए
हर किसी को बे-दिली हासिल नहीं
लुत्फ़ इनका भी उठाना चाहिए
सब नसीहत है यहाँ सच्ची मगर
इश्क़ में मिटना-मिटाना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ritika reet
our suggestion based on Ritika reet
As you were reading Khushboo Shayari Shayari