baadlon ki udaan chhoti hai
boond nanhi si jaan chhoti hai
had se ziyaada kabhi nahin bola
ik meri ye zubaan chhoti hai
ghar ko aate hi sar dabane par
bole paapa thakaan chhoti hai
teer ik dam nukeela hai mera
bas meri ye kamaan chhoti hai
door tak ham nazar na rakh paaye
ye sachin ki machaan chhoti hai
बादलों की उड़ान छोटी है
बूँद नन्ही सी जान छोटी है
हद से ज़्यादा कभी नहीं बोला
इक मिरी ये ज़ुबान छोटी है
घर को आते ही सर दबाने पर
बोले पापा थकान छोटी है
तीर इक दम नुकीला है मेरा
बस मिरी ये कमान छोटी है
दूर तक हम नज़र न रख पाए
ये 'सचिन' की मचान छोटी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sachin Sharmaa
our suggestion based on Sachin Sharmaa
As you were reading Parinda Shayari Shayari