o jaane waale kya tujhe is kii khabar nahin
tere baghair meri kahin bhi basar nahin
rab jaane kis tarah se basar hogi zindagi
behad safar taveel hai aur hamsafar nahin
khaamosh rahna theek hai ye jaanta hoon main
lekin ye jaan leejie har baat par nahin
bas din guzar rahe hain faqat zindagi ke saif
be-lutf hai hayaat agar hamsafar nahin
ओ जाने वाले क्या तुझे इस की ख़बर नहीं
तेरे बग़ैर मेरी कहीं भी बसर नहीं
रब जाने किस तरह से बसर होगी ज़िन्दगी
बेहद सफ़र तवील है और हमसफ़र नहीं
ख़ामोश रहना ठीक है ये जानता हूँ मैं
लेकिन ये जान लीजिए हर बात पर नहीं
बस दिन गुज़र रहे हैं फ़क़त ज़िन्दगी के 'सैफ़'
बे-लुत्फ़ है हयात अगर हमसफ़र नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saif Dehlvi
our suggestion based on Saif Dehlvi
As you were reading Safar Shayari Shayari