qabeele se bagaavat ka iraada kyun nahin karte
tumhein mujhse mohabbat hai to daava kyun nahin karte
main jaisa tumse kahti hoon tum aisa kyun nahin karte
dayaar-e-madfan-e-raanjha pe sajda kyun nahin karte
agar tumne mohabbat qais ki jaise nibhaai hai
to phir tum qais sa aabaad sehra kyun nahin karte
batao aashiq-e-dauraan tumhaari mar gai ghairat
janaab-e-qais ki haalat pe giryaa kyun nahin karte
ye tera hai ye mera hai ye mera hai ye tera hai
shajar is tere mere ko hamaara kyun nahin karte
क़बीले से बग़ावत का इरादा क्यों नहीं करते
तुम्हें मुझसे मोहब्बत है तो दावा क्यों नहीं करते
मैं जैसा तुमसे कहती हूँ तुम ऐसा क्यों नहीं करते
दयार-ए-मदफ़न-ए-राँझा पे सज्दा क्यों नहीं करते
अगर तुमने मोहब्बत क़ैस की जैसे निभाई है
तो फिर तुम क़ैस सा आबाद सहरा क्यों नहीं करते
बताओ आशिक़-ए-दौराँ तुम्हारी मर गई ग़ैरत
जनाब-ए-क़ैस की हालत पे गिर्या क्यों नहीं करते
ये तेरा है ये मेरा है ये मेरा है ये तेरा है
शजर इस तेरे मेरे को हमारा क्यों नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Khuddari Shayari Shayari