chashm-tar ko phir hamsafar yaad aaya | चश्म-तर को फिर हमसफ़र याद आया - Shayar Bakar Gunjan Nagar

chashm-tar ko phir hamsafar yaad aaya
bhoolna chaaha vo magar yaad aaya

ye bata do chashm-o-nazar mein basa kaun
jis taraf dekha vo udhar yaad aaya

dard mein bhi mahbe-wafa rehta tha main
zehar ka phir mujh pe asar yaad aaya

daawate mizgaan ho rahi yaad mein phir
hum nazar chaaha kam nazar yaad aaya

behijaabi ki rasm vo shauk tere
behaya ko phir darguzar yaad aaya

aashiyaan chhoda tha jahaan jeetne ko
kyun be ghar ko phir mushtaqar yaad aaya

aag paani milte nahin kehta tha vo
aashnaa ko phir hum shajar yaad aaya

khud bana ke vo tod deta hai tab tab
aainaagar ko jab hazar yaad aaya

beniyaazi uski idhar bhi udhar bhi
baa shakar ko phir kyun bakar yaad aaya

चश्म-तर को फिर हमसफ़र याद आया
भूलना चाहा वो मगर याद आया

ये बता दो चश्म-ओ-नज़र में बसा कौन
जिस तरफ़ देखा वो उधर याद आया

दर्द में भी महबे-वफ़ा रहता था मैं
ज़हर का फिर मुझ पे असर याद आया

दावते मिज़्गां हो रही याद में फिर
हम नज़र चाहा कम नज़र याद आया

बेहिजाबी की रस्म वो शौक तेरे
बेहया को फिर दरगुज़र याद आया

आशियाँ छोड़ा था जहां जीतने को
क्यूँ बे घर को फिर मुश्तक़र याद आया

आग पानी मिलते नहीं कहता था वो
आशना को फिर हम शजर याद आया

ख़ुद बना के वो तोड़ देता है तब तब
आइनागर को जब हजर याद आया

बेनियाज़ी उसकी इधर भी उधर भी
बा शकर को फिर क्यूँ बकर याद आया

- Shayar Bakar Gunjan Nagar
1 Like

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Bakar Gunjan Nagar

As you were reading Shayari by Shayar Bakar Gunjan Nagar

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Bakar Gunjan Nagar

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari