kya gila karte bhi dilbar se hum | क्या गिला करते भी दिलबर से हम - Shayar Bakar Gunjan Nagar

kya gila karte bhi dilbar se hum
dil laga baithe the patthar se hum

phat pada dil tere lehje se aur
zakham silte rahe khanjar se hum

roz mallaah bane zindagi ke
roz doobe hain muqaddar se hum

kahi par shor kahi khaamoshi thi
cheekhte bhi rahe andar se hum

hum muhabbat mein to aise khoye
nazon si tum rahi manzar se hum

sab ko amrit mila hai jag mein aur
vish piye ja rahe shankar se hum

क्या गिला करते भी दिलबर से हम
दिल लगा बैठे थे पत्थर से हम

फट पड़ा दिल तेरे लहजे से और
ज़ख़्म सिलते रहे ख़ंजर से हम

रोज़ मल्लाह बने ज़िन्दगी के
रोज़ डूबे हैं मुक़द्दर से हम

कहीं पर शोर कहीं ख़ामुशी थी
चीख़ते भी रहे अंदर से हम

हम मुहब्बत में तो ऐसे खोए
नज़रों सी तुम रही, मंज़र से हम

सब को अमृत मिला है जग में और
विष पिए जा रहे शंकर से हम

- Shayar Bakar Gunjan Nagar
2 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Bakar Gunjan Nagar

As you were reading Shayari by Shayar Bakar Gunjan Nagar

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Bakar Gunjan Nagar

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari