chaahat mein usne hi mujhko jee bhar ke badnaam kiya
phir maine apni chaahat ke jazbon ko neelaam kiya
usko waapas laane ki khaatir maine ye kaam kiya
jaane kitni baar hi maine yun usse ibraam kiya
kitna mushkil hota hai in ashkon ko bhi girane mein
ashk gira kar kaaghaz par ai logon maine jaam kiya
mujhko bilkul lagta tha main usko apna bana loonga
vo na mila mujhko to phir ye ishq ne hi naakaam kiya
uski gali shehron mein to bas mera naam hi hota hai
ishq ye kar ke ai daanish maine bhi aisa naam kiya
चाहत में उसने ही मुझको जी भर के बदनाम किया
फिर मैंने अपनी चाहत के जज़्बों को नीलाम किया
उसको वापस लाने की ख़ातिर मैंने ये काम किया
जाने कितनी बार ही मैंने यूँ उससे इबराम किया
कितना मुश्किल होता है इन अश्कों को भी गिराने में
अश्क गिरा कर काग़ज़ पर ऐ लोगों मैंने जाम किया
मुझको बिल्कुल लगता था मैं उसको अपना बना लूँगा
वो न मिला मुझको तो फिर ये इश्क़ ने ही नाकाम किया
उसकी गली शहरों में तो बस मेरा नाम ही होता है
इश्क़ ये कर के ऐ ''दानिश'' मैंने भी ऐसा नाम किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Gaon Shayari Shayari