haan ishq mein jab se mera dil ye tumhaara ho gaya
afsos tab se maut ka mujh pe ishaara ho gaya
aasaan hargiz bhi nahin hai ishq karna aashiqon
dil tootaa hai ab yahan aisa nazaara ho gaya
lab ye tarsate hain yun tum se baat karne ke liye
aise hi murshad zindagi ka ye guzaara ho gaya
uski gali mein raah mein usko bahut dhoondha hoon main
dikhta nahin ab bewafa aankhon ka taara ho gaya
phir koi ladki ne nazar daali hai bas us par hi to
phir dil laga ye ishq daanish ko dobaara ho gaya
हाँ इश्क़ में जब से मिरा दिल ये तुम्हारा हो गया
अफ़सोस तब से मौत का मुझ पे इशारा हो गया
आसान हरगिज़ भी नहीं है इश्क़ करना आशिक़ों
दिल टूटता है अब यहाँ ऐसा नज़ारा हो गया
लब ये तरसते हैं यूँ तुम से बात करने के लिए
ऐसे ही मुर्शद ज़िंदगी का ये गुज़ारा हो गया
उसकी गली में राह में उसको बहुत ढूँढ़ा हूँ मैं
दिखता नहीं अब बेवफ़ा आँखों का तारा हो गया
फिर कोई लड़की ने नज़र डाली है बस उस पर ही तो
फिर दिल लगा ये इश्क़ ''दानिश'' को दुबारा हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Chehra Shayari Shayari