kaun kehta hai zillat nahin hai
par kisi ko nadaamat nahin hai
kar rahe hain yahan jo muhabbat
is muhabbat mein shiddat nahin hai
apna main dard kisko sunaau
zakhmi dil ki to izzat nahin hai
chot ab log khaate hain dil par
ishq mein ab nazaakat nahin hai
jaanta hoon nateeja main daanish
dil lagaane ki himmat nahin hai
कौन कहता है ज़िल्लत नहीं है
पर किसी को नदामत नहीं है
कर रहे हैं यहाँ जो मुहब्बत
इस मुहब्बत में शिद्दत नहीं है
अपना मैं दर्द किसको सुनाऊँ
ज़ख़्मी दिल की तो इज़्ज़त नहीं है
चोट अब लोग खाते हैं दिल पर
इश्क़ में अब नज़ाकत नहीं है
जानता हूँ नतीजा मैं 'दानिश'
दिल लगाने की हिम्मत नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Dard Shayari Shayari