raqeebon se bahut vo aaj kal iqraar karta hai
magar mujhko sabhi ke saamne inkaar karta hai
nazarandaaz karta hai vo pehle se ziyaada ab
zamaana jaanta hai mere dil par vaar karta hai
mujhe bas dekh kar apni nazar ko mod leta hai
sitam yah hai na vo mujh se kabhi deedaar karta hai
vo meri zindagi mein laut kar waapas na aayega
bulane ki use koshish bhi dil sau baar karta hai
tumhaari baat par mujhko bharosa hai nahin daanish
jo tum kahte ho vo ab bhi tumheen se pyaar karta hai
रक़ीबों से बहुत वो आज कल इक़रार करता है
मगर मुझको सभी के सामने इन्कार करता है
नज़रअंदाज़ करता है वो पहले से ज़ियादा अब
ज़माना जानता है मेरे दिल पर वार करता है
मुझे बस देख कर अपनी नज़र को मोड़ लेता है
सितम यह है न वो मुझ से कभी दीदार करता है
वो मेरी ज़िंदगी में लौट कर वापस न आएगा
बुलाने की उसे कोशिश भी दिल सौ बार करता है
तुम्हारी बात पर मुझको भरोसा है नहीं 'दानिश'
जो तुम कहते हो वो अब भी तुम्हीं से प्यार करता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Nazar Shayari Shayari