ye tere khwaab se judi hui hai | ये तेरे ख़्वाब से जुड़ी हुई है - Asad Khan

ye tere khwaab se judi hui hai
neend jo aankh mein bhari hui hai

mere to saare zakham taaza hain
aapki chot hi sadri hui hai

aisa kya kaam hai tujhe ai dost
jaane ki jaldi kyun lagi hui hai

aaj bhi intizaar mein tere
ik ghadi mez par padi hui hai

chand noton ke neeche batwe mein
uski tasveer bhi rakhi hui hai

dil ko patthar bana ke rakha hai
zindagi thaath pe adi hui hai

ये तेरे ख़्वाब से जुड़ी हुई है
नींद जो आँख में भरी हुई है

मेरे तो सारे ज़ख़्म ताज़ा हैं
आपकी चोट ही सड़ी हुई है

ऐसा क्या काम है तुझे ऐ दोस्त
जाने की जल्दी क्यों लगी हुई है

आज भी इंतिज़ार में तेरे
इक घड़ी मेज़ पर पड़ी हुई है

चंद नोटों के नीचे बटवे में
उसकी तस्वीर भी रखी हुई है

दिल को पत्थर बना के रक्खा है
ज़िंदगी ठाठ पे अड़ी हुई है

- Asad Khan
2 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Asad Khan

As you were reading Shayari by Asad Khan

Similar Writers

our suggestion based on Asad Khan

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari