ek hasrat hai tumko paane ki
jeete jeete hi jaan se jaane ki
tum jo patthar ho meri raahon mein
kyun na chaahoon main chot khaane ki
gar ho qaateel tumhaare jaisa to
kaun chahe na maut paane ki
saari takleefein hans ke le loonga
teri khaatir main is zamaane ki
dard paane ki chaah mein maine
di hai keemat bhi muskuraane ki
jism ne aise rooh ko nocha
phir na sochega dil lagaane ki
de koi maut ab mujhe yaaro
ya dava usko bhool jaane ki
ashk ab maine peena seekha hai
ab to aadat hai gham pachane ki
एक हसरत है तुमको पाने की
जीते जीते ही जाँ से जाने की
तुम जो पत्थर हो मेरी राहों में
क्यों न चाहूँ मैं चोट खाने की
गर हो क़ातिल तुम्हारे जैसा तो
कौन चाहे न मौत पाने की
सारी तकलीफ़ें हँस के ले लूँगा
तेरी ख़ातिर मैं इस ज़माने की
दर्द पाने की चाह में मैंने
दी है कीमत भी मुस्कुराने की
जिस्म ने ऐसे रूह को नोचा
फिर न सोचेगा दिल लगाने की
दे कोई मौत अब मुझे यारो
या दवा उसको भूल जाने की
अश्क अब मैंने पीना सीखा है
अब तो आदत है ग़म पचाने की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Zakhm Shayari Shayari