koi chaaragar na koi hai dava ab | कोई चारागर न कोई है दवा अब - Shri kumar

koi chaaragar na koi hai dava ab
jo hai to bas hausla hai aapka ab

daur aaya hai ajab ye siskiyon ka
maut ban kar phir rahi kaatil hawa ab

saamne hai maut peeche zindagi hai
sach batao kaun kitna hai bada ab

raushni se teergi hai haarti aayi
kuch nahin hai is kahaani mein naya ab

aag gurbat ki lagi hai is dafaa yun
saamne sabke yahi hai mas'ala ab

khaali khaali tha khandar sa aashiyana
saath sab aaye to ghar ye ghar bana ab

sab ke sab matlab se apne kaam lete hain
sochta hai kya koi achha bura ab

mar gaye saare jo hissedaar the shri
hai nahin kuch haath mein sab kuch gaya ab

कोई चारागर न कोई है दवा अब
जो है तो बस हौसला है आपका अब

दौर आया है अजब ये सिसकियों का
मौत बन कर फिर रही कातिल हवा अब

सामने है मौत पीछे ज़िन्दगी है
सच बताओ कौन कितना है बड़ा अब

रौशनी से तीरगी है हारती आई
कुछ नहीं है इस कहानी में नया अब

आग गुर्बत की लगी है इस दफ़े यूँ
सामने सबके यही है मसअला अब

खाली खाली था खंडर सा आशियाना
साथ सब आये तो घर ये घर बना अब

सब के सब मतलब से अपने काम लेते हैं
सोचता है क्या कोई अच्छा बुरा अब

मर गए सारे जो हिस्सेदार थे "श्री"
है नहीं कुछ हाथ में सब कुछ गया अब

- Shri kumar
0 Likes

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shri kumar

As you were reading Shayari by Shri kumar

Similar Writers

our suggestion based on Shri kumar

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari