tumhaare baad sab ulta dikhaai deta hai | तुम्हारे बाद सब उल्टा दिखाई देता है

  - Zeeshan Sahir

tumhaare baad sab ulta dikhaai deta hai
ki sahilon se bhi sehra dikhaai deta hai

main isliye bhi bahut khush hoon meri khidki se
tumhaare ghar ka jo rasta dikhaai deta hai

hujoom uske bazaahir hai ird-gird magar
mujhe vo shakhs to tanhaa dikhaai deta hai

gawaahi tune bhi di qatl ki himayat mein
zameer tera bhi maila dikhaai deta hai

jidhar bhi dekhen bura hi bura hai duniya mein
tumhein jo dekh le achha dikhaai deta hai

vo pehli saf mein jo dushman ki hai khada saahir
mujhe vo shakhs to apna dikhaai deta hai

तुम्हारे बाद सब उल्टा दिखाई देता है
कि साहिलों से भी सहरा दिखाई देता है

मैं इसलिए भी बहुत ख़ुश हूँ मेरी खिड़की से
तुम्हारे घर का जो रस्ता दिखाई देता है

हुजूम उसके बज़ाहिर है इर्द-गिर्द मगर
मुझे वो शख़्स तो तन्हा दिखाई देता है

गवाही तूने भी दी क़त्ल की हिमायत में
ज़मीर तेरा भी मैला दिखाई देता है

जिधर भी देखें बुरा ही बुरा है दुनिया में
तुम्हें जो देख ले अच्छा दिखाई देता है

वो पहली सफ़ में जो दुश्मन की है खड़ा 'साहिर'
मुझे वो शख़्स तो अपना दिखाई देता है

  - Zeeshan Sahir

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zeeshan Sahir

As you were reading Shayari by Zeeshan Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Zeeshan Sahir

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari