vo ghalib ki ghazal jaisi kalaam-e-meer jaisi hai | वो ग़ालिब की ग़ज़ल जैसी कलाम-ए-मीर जैसी है

  - Mohammad Aquib Khan

vo ghalib ki ghazal jaisi kalaam-e-meer jaisi hai
kabhi sheerin zabaan si hai kabhi shamsheer jaisi hai

mai andar se bada zakhami magar baahar se jannat hoon
miyaan meri yahan haalat usi kashmir jaisi hai

mujhe is zindagi se bhi nahin koi gila shikwa
diya utna mujhe isne meri taqdeer jaisi hai

haqeeqat tere vaadon ki mujhe maalum hai lekin
tere dhoke ki lazzat bhi meri jaan kheer jaisi hai

sune ik baar jo tumko wahin par baith jaata hai
tera har lafz masjid me hui taqreer jaisi hai

tere andaaz padh paauon nahin koi sukhnavar mai
tera lahja hakeemo ki likhi tahreer jaisi hai

वो ग़ालिब की ग़ज़ल जैसी कलाम-ए-मीर जैसी है
कभी शीरीं ज़बां सी है कभी शमशीर जैसी है

मै अंदर से बड़ा ज़ख़्मी मगर बाहर से जन्नत हूँ
मियाँ मेरी यहाँ हालत उसी कश्मीर जैसी है

मुझे इस ज़िन्दगी से भी नहीं कोई गिला शिकवा
दिया उतना मुझे इसने मेरी तक़दीर जैसी है

हक़ीक़त तेरे वादों की मुझे मालुम है लेकिन
तेरे धोख़े की लज़्ज़त भी मेरी जाँ खीर जैसी है

सुने इक बार जो तुमको वहीं पर बैठ जाता है
तेरा हर लफ्ज़ मस्जिद मे हुई तक़रीर जैसी है

तेरे अंदाज़ पढ़ पाऊं नहीं कोई सुख़नवर मै
तेरा लहजा हकीमो की लिखी तहरीर जैसी है

  - Mohammad Aquib Khan

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohammad Aquib Khan

As you were reading Shayari by Mohammad Aquib Khan

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Aquib Khan

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari